sūrat-e-sabza-e-be-gāna chaman se guzre
ham musāfir kī tarah apne vatan se guzre
sahl hai na.ara-e-mansūr magar sahl nahīñ
har koī marhala-e-dār-o-rasan se guzre
lāla-o-gul ko tabassum kī ziyā dī ham ne
jalva-e-sub.h kī mānind chaman se guzre
hai ye kyā raushnī-e-fikr kī tīra-baḳhtī
jalva-e-rūh na pairāhan-e-tan se guzre
vo kare tajziya-e-mausam-e-gul jis kī nazar
bazm-e-gul meñ hadd-e-nasrīn-o-saman se guzre
dil pe kyā guzrī ye dil hī ko ḳhabar hai lekin
muskurāte hue ham dār-e-mehan se guzre
na kisī paañv kī aahaT na koī naqsh-e-qadam
qāfile ruuh ke yuuñ kūcha-e-tan se guzre
ek zarre meñ kabhī kho ga.iiñ kitnī kirneñ
kitne ḳhurshīd kabhī ek kiran se guzre
nik.hat-e-gesū-e-jānāñ bhī ajab thī 'hurmat'
ham tasavvur meñ ka.ī baar ḳhutan se guzre