dil ko taufīq-e-ziyāñ ho to ġhazal hotī hai
zahr-e-ġham bāda-chukāñ ho to ġhazal hotī hai
fikr tap tap ke nikhartī rahe kundan kī tarah
aag siine kī javāñ ho to ġhazal hotī hai
dhīmī dhīmī sī navā silsila junbān-e-abad
parda-e-jāñ meñ nihāñ ho to ġhazal hotī hai
dhaḌkaneñ sūrat-e-alfāz bikhartī jaa.eñ
dil ma.ānī kī zabāñ ho to ġhazal hotī hai
aañch miTTī ke khilaunoñ kī tarah miltī jaa.e
zehn ḳhvāboñ se tapāñ ho to ġhazal hotī hai
rauzan-e-māh se pichhle pahar ik shoḳh-laqā
jānib-e-di-nigarāñ ho to ġhazal hotī hai
rūh-e-shab apnī adāoñ kī tab-o-tāb liye
ḳhalvat-ārā-e-bayāñ ho to ġhazal hotī hai
ek sayyāl kasak jāda-kushā-e-taḳhlīq
fan kī nabzoñ meñ ravāñ ho to ġhazal hotī hai
tajarbe dard kī shabnam meñ nahā.eñ 'hurmat'
gul-fishāñ sho.ala-e-jāñ ho to ġhazal hotī hai