Hurmatul Ikaram

waqt gardish mein ba-andaz-e-digar hai ki jo tha

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
vaqt gardish meñ ba-andāz-e-digar hai ki jo thā
tan meñ jaañ hai ki jo thī dosh pe sar hai ki jo thā
qāfile luTte ga.e bujhte ga.e dil lekin
ek hañgāma sar-e-rāhguzar hai ki jo thā
tesha-e-fikr vahī nashtar-e-ehsās vahī
zaḳhm-e-sar hai ki jo thā zaḳhm-e-jigar hai ki jo thā
saath qadmoñ ke lagā chaltā hai apnā saaya
vahī ham haiñ vahī sahrā-e-safar hai ki jo thā
aadmī apne ḳhayāloñ kā sulagtā paikar
ḳhud-nigar hai ki jo thā ḳhāk-basar hai ki jo thā
aañkh vāloñ ne to har moḌ pe badle andāz
ek apnā vahī andāz-e-nazar hai ki jo thā
aag jañgal kī bujhā.e ye paḌī hai kis ko
vus.at-e-jāñ meñ vahī raqs-e-sharar hai ki jo thā
aql ye terī hī pūñjī hai samajh yā na samajh
dil ik ujḌā huā jaltā huā ghar hai ki jo thā
pūchhne aa.e haiñ bichhḌe hue lamhe 'hurmat'
kyā vahī silsila-e-shām-o-sahar hai ki jo thā
Top Urdushayar.com