Hurmatul Ikaram

wo aalam hai ki har mauj-e-nafas hai ruh par bhaari

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
vo aalam hai ki har mauj-e-nafas hai ruuh par bhārī
ḳhudā jaane ye jiinā hai ki jiine kī adākārī
ḳhudā-vandā tire zauq-e-atā ko kyā kahe koī
milī hai ham se ḳhufta-qismatoñ ko dil kī bedārī
Darātā kyā dil-e-sarkash ko ehsās-e-sazā lekin
laraz jaatā hai nām-e-afv se nāz-e-ḳhatā-kārī
nazar uTThī kisī kī dil ne ik paiġhām sā paayā
ye lamha hai ki ham uḌtī huī sī koī chiñgārī
uThā.e zindagī kā bojh baḌhtā jā rahā huuñ maiñ
tamannā-e-subuk-sārī na ehsās-e-girāñbārī
miTā.ī jā.egī ye muskurātī nāchtī duniyā
azal se sirf ik din ke liye kyā kyā hai tayyārī
farishte rashk se kyā kyā na takte haiñ use 'hurmat'
koī kartā hai pahlī baar jab azm-e-gunahgārī
Top Urdushayar.com