Hurmatul Ikaram

KHwabon ke sath zehn ki angDaiyan bhi hain

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
ḳhvāboñ ke saath zehn kī añgḌā.iyāñ bhī haiñ
ik raushnī bhī hai ka.ī parchhā.iyāñ bhī haiñ
ye kā.enāt ḳhud bhī hai ik paikar-e-jamīl
aur kuchh tire jamāl kī ra.anā.iyāñ bhī haiñ
Duubā huā huuñ qulzum-e-ālām meñ magar
zer-e-qadam hayāt kī parchhā.iyāñ bhī haiñ
jaadū jagātī raat ke sāyoñ ke ās-pās
larzāñ tumhārī yaad kī pahnā.iyāñ bhī haiñ
aatā nahīñ shabāb yūñhī kā.enāt par
masrūf kār-e-ishq kī barnā.iyāñ bhī haiñ
shām-e-balā na mujh se churā is tarah nigāh
tanhā nahīñ huuñ maiñ mirī tanhā.iyāñ bhī haiñ
haiñ terī anjuman meñ hameñ ik fasurda-dil
lekin hamīñ se anjuman-ārā.iyāñ bhī haiñ
'hurmat' faqat bulandī-e-ehsās hī nahīñ
merī talab meñ ruuh kī gahrā.iyāñ bhī haiñ
Top Urdushayar.com