Hurmatul Ikaram

rah-e-talab mein baDi turfagi ke sath chale

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
rah-e-talab meñ baḌī turfagī ke saath chale
kisī ke saath na the aur sabhī ke saath chale
na ham-safar koī paayā na rāhbar chāhā
vo rāh-rau haiñ ki ham zindagī ke saath chale
fareb ḳhud ko diye aur ḳhud hī pachhtā.e
kisī kā jo na huā ham usī ke saath chale
kaho ki hotī hai ik chiiz sar-bulandī bhī
kahā ye kis ne ki ham sar-kashī ke saath chale
rahe sharīk-e-safar e'timād-e-ham-qadmī
ye kyā zarūr hai koī kisī ke saath chale
shikasta-pā hī sahī rahravān-e-dard magar
ye kam nahīñ ki salāmat-ravī ke saath chale
ḳhud apnā soz-e-talab de sake na jis kā saath
dayār-e-ġham meñ vo kis raushnī ke saath chale
ye kah ke ho ga.e ḳhud se bhī ham judā 'hurmat'
safar meñ kaun kisī ajnabī ke saath chale
Top Urdushayar.com