ek duniyā kah rahī hai kaun kis kā āshnā
maiñ hī vo thā jis ne ik duniyā ko samjhā āshnā
pūchhte haiñ bujhte lamhoñ ke khañDar har shaam ko
ho ga.ī kyā dil kī vo sham-e-ḳharāba āshnā
DhūñDhtā hai der se kho.e hue sikke kī tarah
māzī-e-ḳhāmosh ko imroz fardā-āshnā
ye zamīñ sadiyoñ pe jis kī aag ne badlā thā ruup
rafta rafta ho chalī ik barg sho.ala-āshnā
naḳhl-hā-e-rah-guzar tum kyā hameñ pahchānte
kitne saa.e kho chukā hai zauq-e-sahrā-āshnā
kārobār-e-qurbat-o-dūrī meñ aksar ban ga.e
ajnabī iḳhlās gesū āshnā nā-āshnā
vus.at-e-dāmāñ kā 'hurmat' jā.eza lenā paḌā
mahv-e-ġhavvāsī hai kab se fikr dariyā-āshnā