Hurmatul Ikaram

yagangi mein bhi dukh ghairiyat ke sahta hun

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
yagāngī meñ bhī dukh ġhairiyat ke sahtā huuñ
chaman meñ sabza-e-begāna ban ke rahtā huuñ
tirī nigāh-e-mohabbat kā aasrā pā kar
fasāna-e-sitam-e-rozgār kahtā huuñ
aziim dhāroñ kā ruḳh pherne kā azm liye
haqīr maujoñ pe tinke kī tarah bahtā huuñ
hai apne zarf kā maqsūd imtihāñ shāyad
tire qarīb pahuñch kar bhī duur rahtā huuñ
ḳhud apne se bhī chhupāyā hai muddatoñ jis ko
qarīb aao ki tum se vo baat kahtā huuñ
tumhāre bas meñ nahīñ mere zaḳhm kā marham
maiñ zindagī ke haqā.eq kī choT sahtā huuñ
farāz-e-dār bhī 'hurmat' hai ek manzil auj
koī maqām ho maiñ sar-buland rahtā huuñ
Top Urdushayar.com