Hurmatul Ikaram

farogh-e-dida-wari ka zamana aaya hai

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
faroġh-e-dīda-varī kā zamāna aayā hai
diloñ kī be-ḳhabarī kā zamāna aayā hai
ḳhirad se kah do ki tanhā na kaT sakegī ye raah
junūñ kī ham-safarī kā zamāna aayā hai
pahnāo lāla-o-nasrīñ ko taaj kāñToñ kā
tilism-e-ḳhush-nazarī kā zamāna aayā hai
naved dī hai ye mahrūmī-e-mohabbat ne
duā kī be-asarī kā zamāna aayā hai
nikhār aane lagā phir ḳharāba-e-jāñ par
ye kis kī jalvagarī kā zamāna aayā hai
kaho sabā se ye vārafta-hāliyāñ chhoḌe
shu.ūr-e-nāma-barī kā zamāna aayā hai
kahāñ vo daur ki yak-gūna be-ḳhudī māñgeñ
surūr-e-ḳhud-nigrī kā zamāna aayā hai
bahār laa.ī hai ab ke payām aur hī kuchh
diloñ kī baḳhiyā-girī kā zamāna aayā hai
sukūt-e-nīm-shabī se guzar chalo 'hurmat'
ki nāla-e-saharī kā zamāna aayā hai
Top Urdushayar.com