vo dil jo thā kisī ke ġham kā mahram ho gayā rusvā
jahān-e-besh-o-kam meñ ḳhvāb-e-ādam ho gayā rusvā
na chauñkā nik.hat-e-āvāra kī rūdād par koī
ye kyuuñ afsāna-e-parvāz-e-shabnam ho gayā rusvā
dikhā.ī ahl-e-dil ko manzil-e-dār-o-rasan jis ne
tumhārī kaj-kulāhī kā vo aalam ho gayā rusvā
amānat sīna-e-lāla meñ kis kī thī na ye pūchho
ki sa.ī-e-parda-dārī meñ mirā ġham ho gayā rusvā
hai ā.īne kī hairānī bhī afsāna-dar-afsāna
tire asrār-e-mahjūbī kā mahram ho gayā rusvā
pasand aa.ī ġhazal ko 'mīr' kī āshufta-sāmānī
tirā rāz-āshnā ai zulf-e-barham ho gayā rusvā
ḳhabar kyā thī ki aañsū pī ke bhī jiinā nahīñ āsāñ
ye ġham kam hai gudāz-e-sheva-e-ġham ho gayā rusvā
basānā thā kisī hiile se duniyā ke ḳharābe ko
ye aisī maslahat thī jis pe aadam ho gayā rusvā
ajab tarz-e-mudāvā thā hamāre chārasāzoñ kā
ki 'hurmat' irtibāt-e-zaḳhm-o-marham ho gayā rusvā