Hurmatul Ikaram

apne chaman pe abr ye kaisa baras gaya

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
apne chaman pe abr ye kaisā baras gayā
har qatra zahar ban ke fazāoñ meñ bas gayā
sūd-o-ziyāñ kī fikr kā kis ko rahā dimāġh
muddat huī ki hausla-e-pesh-o-pas gayā
ab jāgte haiñ apnī hī aahaT se qāfile
rāh-e-talab se sheva-e-bāñg-e-jaras gayā
ik sail-e-rañg-o-nūr se jal-thal hai kā.enāt
kaisā ye tere jalvoñ kā bādal baras gayā
dikhlā.eñ ham shikastagī-e-bāl-o-par kise
kahte haiñ log mausam-e-qaid-e-qafas gayā
chāragaro ye zahr utāro to baat hai
tārīkiyoñ kā naag zamāne ko Das gayā
naqsh-e-qadam kā bhī koī miltā nahīñ surāġh
chupke se dil meñ aa ke mire kaun bas gayā
har lamha zindagī se ibārat thā jin dinoñ
kyā kyā na ham se le ke vo daur-e-havas gayā
'hurmat' ye dil hai apnī tabāhī pe jis ko naaz
vo phuul hai jo khilne se pahle bikas gayā
Top Urdushayar.com