vo dil samo le jo dāman meñ kā.enāt kā karb
uThā sakā na ḳhud apne tasavvurāt kā karb
nikalnā ḳhuld se aadam kā ban gayā kyā chiiz
ye zindagī hai ki hai ik vārdāt kā karb
añdhere Daste rahe sham.a jhilmilātī rahī
kahīñ to kah na sakeñ zindagī kī raat kā karb
panāh ke liye ḳhvāboñ kī god DhūñDhtī hai
hayāt sah na sakī apne tajrabāt kā karb
baḌā ajiib hai ḳhud se ye ma.arka apnā
kahāñ har ek se uTThā shikast-e-zāt kā karb
hai intizār meñ ik inqalāb āḳhir ke
zamīñ liye hue kitne taġhayyurāt kā karb
ye jiit kam hai ki ġham raas aa gayā varna
ḳhushī ḳhushī koī jhelā hai apnī maat kā karb
simaT ke ban gayā hoñToñ pe nāla-e-saharī
tamām din kī aziyyat tamām raat kā karb
jigar-gudāz the 'hurmat' kuchh aur ġham bhī magar
miTā gayā hameñ auj-e-taḳhaiyyulāt kā karb