Hurmatul Ikaram

rahega aql ke sine pe ta-abad ye dagh

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
rahegā aql ke siine pe tā-abad ye daaġh
ki zindagī ne bhī paayā na zindagī kā surāġh
ajiib tarah guzārā hai daur-e-tīra-shabī
jalā jalā ke bujhā.e haiñ maiñ ne kitne charāġh
hai jiine vāloñ kī ḳhātir ye kaisī majbūrī
na zindagī kā farāġh aur na zindagī se farāġh
ye kuchh hamāre hī qalb-e-tapīda ko hai ḳhabar
faroġh-e-nūr se kyā kyā na jal bujhe haiñ charāġh
hai raushnī ke liye raushnī payām-e-ajal
sahar qarīb hai aur jhilmilā rahe haiñ charāġh
mujhe batā ki hai us mai meñ kaif-e-mai kitnā
maiñ jāntā huuñ ki ḳhālī nahīñ kisī kā ayāġh
kisī tarah sahī badle to rasm-e-pārīna
ugaa.e jaao bayābāñ ujāḌte chalo baaġh
dikhā rahā huuñ maiñ duniyā ko dil kā ā.īna
ba-īñ yaqīñ ki nahīñ māhtāb bhī be-dāġh
ye raat mahfil-e-ādam pe hai garāñ 'hurmat'
bhaḌak uThe haiñ ḳhud apnī hī raushnī se charāġh
Top Urdushayar.com