Shaheen Abbas

dar-e-imkan se guzar kar sar-e-manzar aa kar

Shaheen Abbas

1965
dar-e-imkāñ se guzar kar sar-e-manzar aa kar
ham ajab lahar meñ haiñ apne na.e ghar aa kar
jise jaanā hī nahīñ apne kināroñ se judā
use dekhā bhī nahīñ mauj se bāhar aa kar
ātish-e-ġham pe nazar kī hai kuchh aise ki ye aañch
baat kar saktī hai ab mire barābar aa kar
tū ne kis harf ke āhañg meñ Dhālā thā mujhe
saañs bhī TuuT rahā hai sar-e-mahzar aa kar
use dekhā thā ḳhat-e-ḳhvāb ke us paar kabhī
ye sitāra jo girā hai mire andar aa kar
ik sadā koh-e-nidā se kisī apne kī sadā
rone lag jaatī hai is dasht meñ aksar aa kar
shāḳh-tā-shāḳh ajab ālam-e-vahshat hai abhī
tā.ir-e-jāñ kabhī Thahrā thā mire ghar aa kar
Top Urdushayar.com