kuchh nahīñ likkhā huā phir bhī paḌhā jaatā hai kyā
aisī nā-maujūd ko duniyā kahā jaatā hai kyā
ham-suḳhan tere muḳhātab kā patā kaise karūñ
bolnā thā kyā tujhe aur boltā jaatā hai kyā
ek darvāza aur andar duur tak koī nahīñ
aate jaate jhāñk lene se tirā jaatā hai kyā
is añdhere meñ paḌe ik shaḳhs ko dekhā kabhī
paañv se Takrā.e to bāñhoñ meñ aa jaatā hai kyā
ham idhar haiñ hashr uThā dete haiñ jab uThtī hai lahr
tum udhar ho haath uThā do sab sunā jaatā hai kyā
maiñ ki terā tīsrā ġham huuñ so ye ġham bhī to kar
tū ki bas hone na hone par marā jaatā hai kyā