ibtidā sā kuchh intihā sā kuchh
chal tamāshā kareñ zarā sā kuchh
sāmne se ye kā.enāt haTāo
ho rahā hai muġhālta sā kuchh
sar-ba-sar huuñ salāmtī ke sar
maiñ huuñ raftār-o-hādisa sā kuchh
ek ḳhatra hai aane jaane meñ
is sarā meñ hai dūsrā sā kuchh
chaak udhaḌtā hai ḳhaak ukhaḌtī hai
koī hotā hai rūnumā sā kuchh
aur to kuchh nahīñ hai miTne ko
maiñ hī maiñ huuñ banā banā sā kuchh
ye sarakte hue zamīn pe log
ye gunah sā kuchh aur gilā sā kuchh
vaqt par aag vaqt par paanī
zindagī bhar kā tajraba sā kuchh
jo na terā hai aur na merā hai
phir vo kyā hai tirā mirā sā kuchh
jab ḳhudā sā koī nahīñ to kyuuñ
mas.ala ban gayā ḳhudā sā kuchh