ham rah ga.e hamārā ḳhalal kyuuñ nahīñ rahā
mushkil kā ek hal thā vo hal kyuuñ nahīñ rahā
muḌ muḌ ke dekhtā huuñ vahīñ kā vahīñ ġhubār
maiñ chal rahā huuñ rāsta chal kyuuñ nahīñ rahā
mauzūa ko badaltā huuñ safhe ulaTtā huuñ
mazmūn kyā batā.ūñ badal kyuuñ nahīñ rahā
mere aur us ke beach shab-e-āḳhirīñ kā daaġh
ik āḳhirī charāġh hai jal kyuuñ nahīñ rahā
maiñ ne kahā ḳhudā se ḳhudā ne kahā mujhe
ghar se koī galī meñ nikal kyuuñ nahīñ rahā