Shaheen Abbas

mohabbat mein na jaane kyun hamein fursat ziyaada hai

Shaheen Abbas

1965
mohabbat meñ na jaane kyuuñ hameñ fursat ziyāda hai
hamārā kaam thoḌā hai magar mohlat ziyāda hai
hameñ is ālam-e-hijrāñ meñ bhī ruk ruk ke chalnā hai
unheñ jaane diyā jaa.e jinheñ ujlat ziyāda hai
ye dil bāhar dhaḌaktā hai ye aañkh andar ko khultī hai
ham aise marhale meñ haiñ jahāñ zahmat ziyāda hai
so ham fariyādiyoñ kī ek apnī saf alag se ho
hamārā mas.ala ye hai hameñ hairat ziyāda hai
samajh paa.e nahīñ dekhe baġhair us kā nazar aanā
mashaqqat kam se kam kī thī magar ujrat ziyāda hai
tamāshā-gāh chāroñ samt se pur-shor hai ya.anī
kahīñ jalvat ziyāda hai kahīñ ḳhalvat ziyāda hai
tujhe halqa-ba-halqa khīñchte phirte haiñ duniyā meñ
so ai zanjīr-e-pā yuuñ bhī tirī shohrat ziyāda hai
ye saarī āmad-o-raft ek jaisī to nahīñ 'shāhīn'
ki duniyā meñ safar kam kam hai aur hijrat ziyāda hai
Top Urdushayar.com