bante bante apne pech-o-ḳham bane
tū banā phir maiñ banā phir ham bane
ek aañsū thā girā aur chal paḌā
ek aalam thā so do aalam bane
ik qadam uTThā kahīñ pahlā qadam
ḳhaak uḌī aur apne saare ġham bane
apnī āvāzoñ ko chup rah kar sunā
tab kahīñ jā kar ye zer-o-bam bane
aañkh banñe meñ bahut din lag ga.e
dekhiye kab aañkh andar nam bane
zaḳhm ko be-rah-ravī meñ rah milī
ḳhuun ke chhīñTe uḌe aalam bane
ham kahāñ the us samay us vaqt jab
tere andar ke ye sab mausam bane