mire banñe se kyā kyā ban rahā thā
maiñ banñe ko akelā ban rahā thā
aur ab jab tan chukā to sharm aa.ī
ka.ī din se ye parda ban rahā thā
ziyāda ho rahī thiiñ do sarā.eñ
maiñ phir mahfil kā hissa ban rahā thā
qayāmat aur qayāmat par qayāmat
maiñ ḳhush thā merā halqa ban rahā thā
falak miT sā gayā hadd-e-nazar tak
sitāra hī ik aisā ban rahā thā
nasheb-e-shahr thā yuuñ roz-afzūñ
miyān-e-shahr ziina ban rahā thā
ḳharābī meñ ye ḳham aayā achānak
ḳharāba achchhā-ḳhāsā ban rahā thā
maiñ aadhā jism jā baiThā vahīñ par
jahāñ baaqī kā aadhā ban rahā thā
aur ab jab kuchh na ban paayā to bole
yahī to thā jo kab kā ban rahā thā
adākārī numū-dārī thī yaksar
maiñ nā-maujūd kitnā ban rahā thā
Thahar jaanā zarūrat se thā ya.anī
guzar jaane kā lamha ban rahā thā
mujhe āsān thā honā na honā
zamāna miT rahā thā ban rahā thā