guzre nahīñ aur guzar ga.e ham
is bhiiḌ kā kaam kar ga.e ham
ye sahn gavāh hai hamārā
is ghar meñ bhī dar-ba-dar ga.e ham
daryāft ko zaḳhm kī chale the
tārīḳh kī dhaar par ga.e ham
is baat pe ab ulajh rahe haiñ
baaqī the to phir kidhar ga.e ham
tasvīr se bāhar aa.e kuchh der
ghar bhar ko udaas kar ga.e ham
varna ye zamīn miT chalī thī
bar-vaqt idhar udhar ga.e ham
ḳhālī the aur is qadar the ḳhālī
bas ek nigah se bhar ga.e ham
the kaun-o-makāñ makāñ se bāhar
bāhar kisī shor par ga.e ham