Shaheen Abbas

zamin ka aaKHiri manzar dikhai dene laga

Shaheen Abbas

1965
zamīñ kā āḳhirī manzar dikhā.ī dene lagā
maiñ dekhtā huā patthar dikhā.ī dene lagā
vo sāmne thā to kam kam dikhā.ī detā thā
chalā gayā to barābar dikhā.ī dene lagā
nishān-e-hijr bhī hai vasl kī nishāniyoñ meñ
kahāñ kā zaḳhm kahāñ par dikhā.ī dene lagā
vo is tarah se mujhe dekhtā huā guzrā
maiñ apne aap ko behtar dikhā.ī dene lagā
tujhe ḳhabar hī nahīñ raat mo.ajiza jo huā
añdhere ko, tujhe chhū kar, dikhā.ī dene lagā
kuchh itne ġhaur se dekhā charāġh jaltā huā
ki maiñ charāġh ke andar dikhā.ī dene lagā
pahuñch gayā tirī āñkhoñ ke us kināre tak
jahāñ se mujh ko samundar dikhā.ī dene lagā
Top Urdushayar.com