kuchh bhī na jab dikhā.ī de tab dekhtā huuñ maiñ
phir bhī ye ḳhauf sā hai ki sab dekhtā huuñ maiñ
āñkheñ tumhāre haath pe rakh kar maiñ chal diyā
ab tum pe munhasir hai ki kab dekhtā huuñ maiñ
aahaT aqab se aa.ī aur aage nikal ga.ī
jo pahle dekhnā thā vo ab dekhtā huuñ maiñ
ye vaqt bhī batātā hai ādāb-e-vaqt bhī
is TūTte sitāre ko jab dekhtā huuñ maiñ
ab yaañ se kaun de mirī chashm-e-talab ko daad
jis fāsle se bāb-e-talab dekhtā huuñ maiñ
in putliyoñ kā qarz chukātā huuñ kyā karūñ
bas dil se dil milātā huuñ jab dekhtā huuñ maiñ
nākām-e-ishq huuñ so mirā dekhnā bhī dekh
kam dekhtā huuñ aur ġhazab dekhtā huuñ maiñ