Shaheen Abbas

aankhon se yun charaghon mein Dali hai raushni

Shaheen Abbas

1965
āñkhoñ se yuuñ charāġhoñ meñ Daalī hai raushnī
ham jaisī chāhte the banā lī hai raushnī
dariyā ġhurūb hone chalā thā ki aaj raat
ġharqāb kashtiyoñ ne uchhālī hai raushnī
apnī nashist chhoḌ ke vaañ rakh diyā charāġh
maiñ ne zamīn de ke bachā lī hai raushnī
hāthoñ kā imtihān liyā saarī saarī raat
sāñche meñ sub.h-o-shām ke Dhālī hai raushnī
maiñ ne kanār-e-shām guzārī hai ek umr
maiñ jāntā huuñ Dūbne vaalī hai raushnī
kyā raakh gir rahī hai nazar kī muñDer se
ḳhālī diyā hai aur ḳhayālī hai raushnī
is baar tere ḳhvāb meñ rakkhā hai apnā ḳhvāb
is baar raushnī meñ sambhālī hai raushnī
Top Urdushayar.com