Shaheen Abbas

diye ka kaam ab aankhen dikhana rah gaya hai

Shaheen Abbas

1965
diye kā kaam ab āñkheñ dikhānā rah gayā hai
ye sīdhā jal chukā ulTā jalānā rah gayā hai
hamīñ sāmān puurā kar nahīñ paa.e ki chalte
so rahte rahte is jañgal se jaanā rah gayā hai
sar-e-koh-e-nidā ye pahlī pahlī ḳhāmushī hai
koī āvāz hai jis kā lagānā rah gayā hai
ye do baazū haiñ sau thoḌī haiñ kholūñ aur batā duuñ
mire atrāf meñ kis kis kā aanā rah gayā hai
kamāñ-dāroñ kā jashn us raat abhī bantā nahīñ thā
maiñ kahtā rah gayā merā nishāna rah gayā hai
saḌak par phuul ek aayā paḌā hai aur musāfir
ka.ī aise haiñ jin kā aanā jaanā rah gayā hai
Top Urdushayar.com