ḳhud meñ utreñ to palaT kar vāpas aa sakte nahīñ
varna kyā ham apnī gahrā.ī ko pā sakte nahīñ
ḳhushbueñ kapḌoñ meñ nādīda chaman-zāroñ kī haiñ
ham kahāñ se ho ke aa.e haiñ batā sakte nahīñ
ham ne in galiyoñ meñ chalne kī ri.āyat lī hai bas
dekh sakte haiñ hameñ ye ghar basā sakte nahīñ
ye bharam manzar kā bhī hai aur pas-manzar kā bhī
āḳhirī naqsh-e-tamāshā hai miTā sakte nahīñ
naqsha-e-nā-būd uThā.e phir rahe haiñ shahr shahr
phir rahe haiñ aur bas aage batā sakte nahīñ
ham koī parda mukammal kar rahe haiñ der se
aañkh chāheñ bhī to tujh par se haTā sakte nahīñ
zindagī ham terī jānib aa rahe haiñ ek saath
ek saath aane kā matlab hai ki aa sakte nahīñ
saarī girheñ khol kar bekār ho baiThe to haiñ
ab lagāte haiñ dobāra aur lagā sakte nahīñ
intizārī haiñ so bām-o-dar pe bhārī bhī to haiñ
raḳhne bhar sakte nahīñ parde girā sakte nahīñ
alvidā'ī ik charāġhāñ aur phir ruḳhsat hameñ
ab mazīd is raushnī par daad pā sakte nahīñ
rahte rahte rah na jaa.eñ log is tasvīr ke
ham-qadam us ke haiñ jis ke saath jā sakte nahīñ
haath se nikle hue nā-vasf nā-vaqtoñ ke ham
haath aanā chāhte haiñ aur aa sakte nahīñ
terī jānib se uThā sakte haiñ gar paañv to kyā
terī jānib se ham apnī ḳhaak uḌā sakte nahīñ