Shaheen Abbas

pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua

Shaheen Abbas

1965
pahle to miTTī kā aur paanī kā andāza huā
phir kahīñ apnī pareshānī kā andāza huā
ai mohabbat tere dukh se dostī āsāñ na thī
tujh sā ho kar terī vīrānī kā andāza huā
umr bhar ham ne fanā ke tajrbe ḳhud par kiye
umr bhar meñ ālam-e-fānī kā andāza huā
ik zamāne tak badan bin ḳhvāb bin ādāb the
phir āchānak apnī uryānī kā andāza huā
tere hāthoñ jal uThe ham tere hāthoñ jal bujhe
hote hote aag aur paanī kā andāza huā
log merī band āñkhoñ meñ se guzre tab unheñ
apnī apnī ḳhvāb-sāmānī kā andāza havā
ek gherā vaqt kā hai dūsrā nā-vaqt kā
ḳhud-nigar kuchh apnī nigarānī kā andāza huā
sūrateñ bigḌīñ to apnī hālatoñ meñ aa.e ham
aa.ina TuuTā to hairānī kā andāza huā
raat ik dahlīz aisī aa ga.ī thī ḳhvāb meñ
raat kuchh kuchh apnī peshānī kā andāza huā
Top Urdushayar.com