ḳhvāb khulnā hai jo āñkhoñ pe vo kab khultā hai
phir bhī kahiye ki bas ab khultā hai ab khultā hai
bāb-e-ruḳhsat se guzartā huuñ so hotī hai shanāḳht
jis qadar dosh pe sāmān hai sab khultā hai
ye añdherā hai aur aise hī nahīñ khultā ye
der tak raushnī kī jaatī hai tab khultā hai
merī āvāz pe khultā thā jo dar pahle-pahal
maiñ pareshāñ huuñ ki ḳhāmoshī pe ab khultā hai
ik makāñ kī baḌī tashvīsh hai rahgīroñ ko
vo jo barsoñ meñ nahīñ khultā to kab khultā hai
ab khulā hai ki charāġhoñ ko yahāñ rakkhā jaa.e
ye vo ruḳh hai jahāñ darvāza-e-shab khultā hai
us ne khulne kī yahī shart rakhī ho jaise
mujh meñ girheñ sī lagā jaatā hai jab khultā hai