jhagḌe apne bhī hoñ jab chāk-garebānoñ ke
kaam hote hue rah jaate haiñ vīrānoñ ke
jaise āñkhoñ ke ye do til hoñ jo tabdīl na hoñ
ġhol aate hue jaate hue insānoñ ke
log hī log uḌe jaate haiñ galiyoñ galiyoñ
ham ne kuchh naqshe uchhāle the bayābānoñ ke
āsmāñ girtā huā saaf nazar aatā hai
bālā-ḳhānoñ meñ ye dar khulte haiñ tah-ḳhānoñ ke
baat kī aur phir us baat kā matlab pūchhā
din bure bhī baḌe achchhe rahe dīvānoñ ke