mauja-e-ḳhūn-e-pareshān kahāñ jaatā hai
mujh se aage mirā tūfān kahāñ jaatā hai
maiñ to jaatā huuñ bayābān-e-nazar ke us paar
mere hamrāh bayābān kahāñ jaatā hai
ab to dariyā meñ bañdhe baiThe haiñ dariyā kī tarah
ab kināroñ kī taraf dhyān kahāñ jaatā hai
chaa.e kī pyālī meñ tasvīr vahī hai ki jo thī
yuuñ chale jaane se mehmān kahāñ jaatā hai
dāstāñ-go kī nishānī koī rakkhī hai ki vo
dāstāñ-goī ke daurān kahāñ jaatā hai
baat yuuñ hī to nahīñ kartā huuñ maiñ ruk ruk kar
kyā batā.ūñ ki mirā dhyān kahāñ jaatā hai
ghar badalnā to bahāna hai bahāna kar ke
andar andar hī se insān kahāñ jaatā hai