Shaheen Abbas

kaisa kaisa dar pas-e-diwar karna paD gaya

Shaheen Abbas

1965
kaisā kaisā dar pas-e-dīvār karnā paḌ gayā
ghar ke andar aur ghar tayyār karnā paḌ gayā
us kināre ne kahā kyā kyā kahūñ kyā baat thī
baat aisī thī ki dariyā paar karnā paḌ gayā
phir bisāt-e-ḳhvāb uThā.ī aur ojhal ho ga.e
shaam kā manzar hameñ hamvār karnā paḌ gayā
ik zarā sā rāsta māñgā thā vīrānī ne kyā
apnā saarā ghar hameñ mismār karnā paḌ gayā
vo kahānī vaqt kā jis meñ tasavvur hī nahīñ
us kahānī meñ hameñ kirdār karnā paḌ gayā
sarsarī samjhā tirī āñkhoñ ko ham ne aur phir
sarsarī chīzoñ pe bhī isrār karnā paḌ gayā
āḳhirash sab ḳhvāb us manzil pe pahuñche haiñ jahāñ
apnī āñkhoñ kā hameñ inkār karnā paḌ gayā
Top Urdushayar.com