duā ham-zād ho saktī diyā hamrāz ho saktā
maiñ vīrānī pe itnā to asar-andāz ho saktā
ye merī ḳhāmushī is intihā kī ḳhāmushī hotī
kisī bhī shaam kā maiñ nuqta-e-āġhāz ho saktā
maiñ betābāna un galiyoñ meñ phirtā ye mirā haq thā
mirī dastak pe shahr-e-ḳhvāb kā dar baaz ho saktā
ye din aur raat kis jānib uḌe jaate haiñ sadiyoñ se
kahīñ rukte to maiñ bhī shāmil-e-parvāz ho saktā
kam-az-kam ḳhāk-o-ḳhūñ kī gum-shuda kaḌiyāñ hī mil jātīñ
sar-e-duniyā ye dil itnā to dar-andāz ho saktā