Shaheen Abbas

ab aise chaak par kuza-gari hoti nahin thi

Shaheen Abbas

1965
ab aise chaak par kūza-garī hotī nahīñ thī
kabhī hotī thī miTTī aur kabhī hotī nahīñ thī
bahut pahle se afsurda chale aate haiñ ham to
bahut pahle ki jab afsurdagī hotī nahīñ thī
hameñ in hāloñ honā bhī koī āsān thā kyā
mohabbat ek thī aur ek bhī hotī nahīñ thī
diyā pahuñchā nahīñ thā aag pahuñchī thī gharoñ tak
phir aisī aag jis se raushnī hotī nahīñ thī
nikal jaate the sar par be-sar-o-sāmānī laade
bharī lagtī thī gaThrī aur bharī hotī nahīñ thī
hameñ ye ishq tab se hai ki jab din ban rahā thā
shab-e-hijrāñ jab itnī sarsarī hotī nahīñ thī
hameñ jā jā ke kahnā paḌtā thā ham haiñ yahīñ haiñ
ki jab maujūdgī maujūdgī hotī nahīñ thī
bahut takrār rahtī thī bhare ghar meñ kisī se
jo shai darkār hotī thī vahī hotī nahīñ thī
tumhī ko ham basar karte the aur din māpte the
hamārā vaqt achchhā thā ghaḌī hotī nahīñ thī
Top Urdushayar.com