dekhnā hai kab zamīñ ko ḳhālī kar jaatā hai din
is qadar aatā nahīñ hai jis qadar jaatā hai din
muntashir chaliye ki yuuñ bāzār bhar jaatā to hai
mushtahar kiije ki phir achchhā guzar jaatā hai din
jab zarā radd-o-badal hotā hai is ta.amīr meñ
bāhar aa jaatī hai raat andar utar jaatā hai din
din kī apnī mustaqil koī nahīñ tārīḳh-e-dard
zaḳhm par jaatā thā aur ab daaġh par jaatā hai din
achchhī gunjā.ish nikal aatī hai shaam aur shor kī
jab khanakte ḳhālī insānoñ se bhar jaatā hai din
jaate jaate chhoḌ jaatā hai mire dil par lakīr
do añdheroñ meñ mujhe taqsīm kar jaatā hai din