maiñ huā terā mājrā tū mirā mājrā huā
vaqt yūñhī guzar gayā vaqt ke ba.ad kyā huā
kaisā guzishta din thā jo phir se guzārnā paḌā
dhuup bhī thī bachī huī saayā bhī thā bachā huā
sub.h ke saath jaa.e kaun shaam ko le ke aa.e kaun
raat kā ghar basā.e kaun hai koī jāgtā huā
ek makāñ meñ kuchh huā baat sunī na jā sakī
log galī galī se ab pūchh rahe haiñ kyā huā
pakḌā gayā thā kyā karūñ shauq thā ye gaḌhā bharūñ
sub.h tulūa kā huā shaam ġhurūb kā huā
sahn meñ chārpā.ī par baiThā huā huuñ der se
lamhoñ kā mas.ala huuñ aur sadiyoñ se huuñ milā huā
aise meñ bhī ajab nahīñ jī sakūñ aur mar sakūñ
apne ḳharāb o ḳhuub kā hairatī huuñ to kyā huā
yuuñ hī to chup nahīñ huuñ maiñ koī to baat hai zarūr
ye jo qazā huā hai ḳhvāb sajda thā jo qazā huā
aur maiñ baaqī rah gayā bāteñ banāne ke liye
merī tarah kā ek shaḳhs tere liye fanā huā