Nawaz Asimi

qasam KHuda ki bulandi se guftugu karte

Nawaz Asimi

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1986
qasam ḳhudā kī bulandī se guftugū karte
uḌaan bharne se pahle agar vuzū karte
fanā kā ḳhauf rahā raat bhar mohalle par
faqīr guzre the kal shaam allāh-hū karte
hamāre saaye zamīnoñ meñ dhañs chuke the yahāñ
safar kā azm bhalā kaise chaar sū karte
kisī pe dhuup ke chilke na Dālte hargiz
ik aa.ina bhī agar ḳhud ke rū-ba-rū karte
jhukī jabīn kā me.ayār baḌh gayā hotā
gar apne aap ko masjūd qibla-rū karte
abhī huī haiñ kahāñ pattharoñ kī barsāteñ
abhī se phirne lage kyuuñ lahū lahū karte
jo log mom kī dastār bāñdhe phirte hai
zarā sī der to suraj se guftugū karte
kiran ke dhāge kā ham ko agar sirā miltā
havā.eñ siite ḳhalāoñ ko ham rafū karte
'navāz' is liye ḳhāmoshiyoñ se lipTe haiñ
zabān khultī to paidā na.e adū karte
Top Urdushayar.com