Nawaz Asimi

tamam abr pahaDon pe sar paTakte rahe

Nawaz Asimi

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1986
tamām abr pahāḌoñ pe sar paTakte rahe
ġharīb dahkāñ ke aañsū magar Tapakte rahe
tamām mausam-e-bārish isī tarah guzrā
chhateñ Tapaktī rahīñ aur makīñ sisakte rahe
nihārne ke liye jab na mil sakā manzar
ham apnī soḳhta-sāmāniyoñ ko takte rahe
makān ashkoñ ke sailāb meñ Thahar na sake
makīn palkoñ kī shāḳheñ pakaḌ laTakte rahe
vo ham pe barf kā tūfān ban ke TuuT paḌā
ham apne aap meñ sho.ala bane bhabhakte rahe
amiir logoñ kī bastī meñ koī dar na khulā
ġharīb log har ik dar pe sar paTakte rahe
'navāz' luqme pe luqma diyā hai ham ne magar
mohabbatoñ kī tilāvat meñ vo aTakte rahe
Top Urdushayar.com