ḳhatar havā-e-muḳhālif kā darmiyān meñ thā
magar parinda magan apnī hī uḌaan meñ thā
hamārā jurm to yaksāñ thā par giraft ke ba.ad
vo shaḳhs ho ke na ho maiñ to imtihān meñ thā
hameñ hamārī zabāñ meñ sazā sunā.ī ga.ī
magar qusūr likhā jaane kis zabān meñ thā
tamām shahr pe ġhālib thā dhuup kā lashkar
fasīl-e-shahr ke bāhar maiñ sā.ebān meñ thā
vatan-parastoñ ne tārīḳh hī badal Daalī
nahīñ to zikr hamārā bhī dāstān meñ thā
ma.e musāfir-o-mallāh naav Duub ga.ī
'navāz' naqs rakhā jaise bādbān meñ thā