Nawaz Asimi

natija dekhiye kuchh din mein kya se kya nikal aaya

Nawaz Asimi

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1986
natīja dekhiye kuchh din meñ kyā se kyā nikal aayā
kahīñ pe biij boyā thā kahīñ paudhā nikal aayā
raqam hai jis pe mere ābā-o-ajdād kā shajara
mire ghar kī khudā.ī meñ vahī katba nikal aayā
sunā hai aaj sab uryāñ nazar ā.eñge saḌkoñ par
maiñ apne ghar se ban kar aaj nā-bīnā nikal aayā
kuchh aise zāviye se aaj sūraj ne hukūmat kī
ke mere jism ke saaye kā bhī saaya nikal aayā
asā jab hazrat-e-mūsā ne maarā bahte paanī par
to paanī phaT gayā aur sāmne rasta nikal aayā
ai sapnoñ ke parindoñ hijratoñ se rok lo ḳhud ko
mirī āñkhoñ ke registān meñ chashma nikal aayā
tirī nazroñ ke auzāroñ ne mere jism-e-ḳhākī kā
jigar khodā to TuuTe dil kā kuchh malba nikal aayā
tū vo kam-zarf jo har dar pe dāman ko pasāre hai
maiñ vo ḳhuddār jo dariyā se bhī pyāsā nikal aayā
Top Urdushayar.com