mom sifat logoñ ne merā hañs ke tamāsha dekhā to
vo patthar thā lekin us kī aañkh se aañsū Tapkā to
alfāzoñ ne ma.anī badle tahrīroñ ne ruḳh badlā
mere qalam kī nok se jis dam ḳhuun kā chashma phūTā to
kahne lage sab aaj savā neze par sūraj āye.gā
jis din maiñ ne mom kā kurtā apne badan par pahnā to
qīmat dekhte dekhte pahuñchī kauḌī se phir lākhoñ meñ
kāñch kā ik showcase banā kar ḳhud ko us meñ rakkhā to
ūñchī ūñchī bāteñ denā merī bhī kal fitrat thī
hosh Thikāne aa ga.e mere apne andar jhāñkā to
mujh ko pinjre se to nikālā par sayyād ne dhamkī dī
baazū jhaḌ jā.eñge tere tū ne uḌnā chāhā to