Nawaz Asimi

tere maslak mein kya itna bhi samjhaya nahin jata

Nawaz Asimi

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1986
tire maslak meñ kyā itnā bhī samjhāyā nahīñ jaatā
faqīroñ aur durveshoñ se Takrāyā nahīñ jaatā
na.e jumle talāsho vāqa.ī gar tum muqarrar ho
har ik taqrīr meñ jumloñ ko dohrāyā nahīñ jaatā
tirī furqat meñ saare jism ko pathrā diyā maiñ ne
faqat āñkheñ bachī haiñ in ko pathrāyā nahīñ jaatā
tū apne ohda-e-munsif se munsif istifā de de
agar haqdār kā haq tujh se dilvāyā nahīñ jaatā
anal-haq kahne vaale aaj bhī maujūd haiñ lekin
unheñ is daur meñ phāñsī pe laTkāyā nahīñ jaatā
havā ho tez to dīvār-o-dar tharrāne lagte haiñ
magar is ḳhauf se ghar chhoḌ ke jaayā nahīñ jaatā
bahut se peḌ ādam-ḳhor-ḳhaslat vaale hote haiñ
'navāz' har peḌ ke saaye meñ sustāyā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com