thā ajab seminar kā mausam tabsire ho rahe the har fan par
shā.erī par sabhī kā qaul thā ye gard kitnī jamī hai darpan par
aaj qistoñ meñ dhuup utrī hai par baḌe karr-o-farr se utrī hai
aaj sūraj hai Dūbne ko magar dhuup ke naqsh-e-pā haiñ āñgan par
aaj bādal phaTe haiñ āñkhoñ meñ aaj sailāb aane vaalā hai
aaj chehre ke koh TūTeñge aur chaTāneñ gireñgī dāman par
kashmakash meñ haiñ tinke chhappar ke ḳhaak ho jaa.eñ yā ThiThurte raheñ
barq hī barq hai fazāoñ meñ os hī os hai nasheman par
aap muslim haiñ aap ke sar par muftī sāhab kā qaul utregā
kufr aur shirk aur bid.at ke fatve aate nahīñ barahman par
ḳhaal jis ne 'navāz' udheḌī hai vo hī darzī hai mere paikar kā
vo hī gin kar batā.egā tum ko kitne paivand haiñ mire tan par