tah-e-mazār kaun hai sar-e-mazār kaun thā
jo qabr giilī kar gayā vo ashk-bār kaun thā
sabhī ne āshkār apne aap ko kiyā magar
numā.ishoñ kī aaḌ meñ vo parda-dār kaun thā
tamām shahr ġharq hai ġhubār hī ġhubār meñ
amīr-e-shahr ye batā vo ḳhāksār kaun thā
vo qaum hī ajiib thī the nīm-barahna sabhī
nadāmateñ thiiñ kis ke paas sharmsār kaun thā
musāfiroñ kā kyā huā ai nāḳhudā tū hī batā
bhañvar kī zad meñ kaun thā nadī ke paar kaun thā
thī be-hayā.īyoñ kī dhuum shahr-e-imtiyāz meñ
bigaḌ chuke samāj kā javāb-dār kaun thā
mirī qazā ke ba.ad shor-o-ġhul thā azhdahām meñ
mudāvā ġham kā kar gayā vo ġham-gusār kaun thā
jhalak rahī haiñ azmateñ 'navāz' us ke taaj meñ
jo taaj us ko de gayā vo tājdār kaun thā