Nawaz Asimi

hawa ke zor se jab baadban phaTne lage

Nawaz Asimi

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1986
havā ke zor se jab bādbān phaTne lage
musāfir apne ḳhudāoñ ke naam raTne lage
hamāre sīnoñ pe ab bhī bahut jagah hai janāb
magar tumhāre hī tarkash meñ tiir ghaTne lage
yazīd-e-vaqt huā jis ghaḌī se taḳht-nashīñ
hamāre naam ke ḳhanjar har ik meñ baTne lage
makān ham ne banā to liyā kināre par
na aisā ho ke kināre kī ret kaTne lage
tumhārī ḳhushiyāñ bhī merī haiñ ġham bhī mere haiñ
ye māl-e-muft nahīñ jo har ik jhapaTne lage
ise charāġh kā rutba kahūñ yā ro.ab kahūñ
havā ke par mirī dahlīz par simaTne lage
ye kis ne pheñkā hai patthar dhadhakte sho.aloñ par
sharāre ho ke judā aag se uchaTne lage
bahut thā zo.am jinheñ apnī shah-savārī par
gire kuchh aise ke siine ke bal ghisaTne lage
tere mahal ke hisāroñ kī iiñT jhaḌne lagīñ
na aisā ho terā shāhī vaqār ghaTne lage
hue haiñ shahr-badar ham magar ḳhudā na kare
makān dhañsne lageñ aur zamīñ palaTne lage
'navāz' ham hī the jo rāsta nahīñ badla
vo zalzale the ke dariyā bhī rah se ha.Tne lage
Top Urdushayar.com