junūñ pe chhoḌ dī ab saarī zindagī maiñ ne
ḳhirad ko aag lagā dī abhī abhī maiñ ne
faqīr-e-shahr ke shajre ko dekhne ke ba.ad
amīr-e-shahr kī dastār khīñch lī maiñ ne
havā.eñ itnī ḳhunuk thiiñ ke ḳhuun jamne lagā
to tapte sehra kī kuchh ret oḌh lī maiñ ne
tilism TuuTā parinde se shāhzādī banī
jo sar meñ kiil Thukī thī nikāl dī maiñ ne
guzārishoñ ko na maano magar ye yaad rakho
ka.ī sunā.e haiñ farmān-e-tuġhlaqī maiñ ne
bunī ga.ī thī jo ḳhvāhish ke tāne-bāne se
mazār-e-dil se vo chādar utaar dī maiñ ne
mire charāġhoñ vasiyyat to dekh lo merī
tumhāre hisse meñ likh dī hai raushnī maiñ ne
'navāz' is liye rahtā hai vo ḳhafā mujh se
ke us kī baat pe haamī nahīñ bharī maiñ ne