dil-e-muztar tirī furqat meñ bahlāyā nahīñ jaatā
kisī pahlū se ye nādān samjhāyā nahīñ jaatā
namak-pāshī mire zaḳhmoñ pe ye kah kah ke karte haiñ
zarā sī baat meñ yuuñ ashk bhar laayā nahīñ jaatā
Darātā kyuuñ hai ai nāseh mohabbat kī kashākash se
phañsā kar dil ko is kūche se katrāyā nahīñ jaatā
mirī zulfeñ haTā kar ruḳh se vo kahte haiñ hans hans kar
añdherī raat hai aise meñ sharmāyā nahīñ jaatā
ġham-o-ālām ne is darja ham ko kar diyā ghāyal
ḳhud apnī dāstāñ ko ham se dohrāyā nahīñ jaatā
baḌī is bekasī kī manzileñ pur-haul hotī haiñ
kisī se jab koī 'tasnīm' apnāyā nahīñ jaatā