zindagī ko ek bahr-e-be-karāñ paatī huuñ maiñ
un ke hāthoñ miT ke umr-e-jāvedāñ paatī huuñ maiñ
ḳhud-baḳhud dil ho gayā donoñ jahāñ se be-niyāz
ab zamīn-e-ishq goyā āsmāñ paatī huuñ maiñ
chhuT-phuTe se dil bujhā rahtā hai terī yaad meñ
chāñdnī rātoñ meñ ashkoñ ko ravāñ paatī huuñ maiñ
saikḌoñ sajde taḌapte haiñ jabīn-e-shauq meñ
ai haqīqat terā naqsh-e-pā kahāñ paatī huuñ maiñ
ab bhī aañsū bah nikalte haiñ kisī kī yaad meñ
andalīb-e-zār ko jab nauha-ḳhvāñ paatī huuñ maiñ
apnā ai 'tasnīm' is duniyā se ghabrātā hai dil
yaañ kī har shai ko faqat vahm-o-gumāñ paatī huuñ maiñ