jab hamārī zindagī kā ḳhatm afsāna huā
us ghaḌī sad-haif un kā ḳhair se aanā huā
aap to hañste rahe ham ro ke rusvā ho ga.e
sham.a to chaltī rahī pāmāl parvāna huā
merī barbādī ke charche sun ke kis kis naaz se
pūchhte haiñ muskurā kar kaun dīvāna huā
dahr meñ ab muskurāne kī hameñ fursat nahīñ
dil hujūm-e-ġham banā ġham āh-e-afsāna huā
tū na hotā to zamīn-o-āsmāñ kuchh bhī na thā
tere qadmoñ kī badaulat merā kāshāna huā
ai karam-farmā tujhe ho ilm us kā yā na ho
kaun tujh meñ kho ke aur phir ḳhud se begāna huā
ham hī ik tanhā nahīñ 'tasnīm' mastāne hue
un kī nazreñ kyā uThīñ har riñd mastāna huā