nazar milā ke nazar se girā diyā tum ne
mujhe batāo ḳhudārā ye kyā kyā tum ne
mujhī pe vaar kiyā aur mujhī ko bhuul ga.e
mirī vafā kā ye achchhā sila diyā tum ne
na apne tarz-e-sitam par nigāh kī tum ne
hamārī baat ko itnā baḌhā diyā tum ne
tum aa ke kyā mutabassim hue lahad par mirī
charāġh-e-gor-e-ġharībāñ jalā diyā tum ne
hameñ to hosh nahīñ tum ko ilm hogā zarūr
ki kis qusūr pe dil se bhulā diyā tum ne
kisī ke jaur kā 'tasnīm' ye fasāna hai
ki jis ko nazm banā kar sunā diyā tum ne