duniyā kī kashākash meñ phañs kar dil-e-ġham se bachānā paḌtā hai
murjhā.ī huī kaliyoñ ko yahāñ hañs hañs ke khilānā paḌtā hai
yuuñ apnī tamannā muztar hai yuuñ apnī mohabbat vīrāñ hai
kāñTe se bichhe haiñ har jānib palkoñ se uThānā paḌtā hai
kyā aalam hai behosh meñ bhī vā ahl-e-nazar kī nazreñ haiñ
mahfil meñ kisī ke dāman se dāman ko bachānā paḌtā hai
jab chāñdnī shab meñ yaad kisī zālim kī nahīñ jiine detī
phir rāz-e-mohabbat ghabrā kar tāroñ se batānā paḌtā hai
yuuñ dard kī Tīseñ uThtī haiñ yuuñ sabr kā dāmāñ chhuTtā hai
maazī kā fasāna phir dil se Dar Dar ke bhulānā paḌtā hai
kis tanz se vo farmāte haiñ kyā sahl hai ulfat kī manzil
yaañ jaan gañvānī paḌtī hai yaañ ashk bahānā paḌtā hai
mañjdhār meñ apne hāthoñ se 'tasnīm' Dubo kar aah yahāñ
nākām mohabbat kashtī ko phir paar lagānā paḌtā hai